Friday, January 4, 2008

Asma-ul-Hasna(Allah's names)

Allah's Names & Their Use:
Ar Rehman
(The Beneficent) One who recites this name 100 times will get sharp memory.
Ya ‘Adl
(The Just) One who eats the bread after writing this name Friday night, will obey his order.
Ya ‘Afuw
(The Pardoner) One who recites this name frequently, his sins will be pardoned.
Ya Ahad
(The One) Recitation of this name 1000 times opens certain secrets.
Ya Akhir
(The Last) One who recites this name frequently will lead a good life and at the end of this life will have a good death.
Ya-A‘ali
(The Most High) Frequent recitation of this name helps in destiny and in Traveling.
Ya Alim
(The All Knowing) One who recites this name will become luminous
and can be revealed by divine light (Noor).
Ya Awwal
(The First) Recitation of this name, 1000 times for 40 Fridays will help in getting a child.
Ya Azim
(The Great One) One who recites this name frequently will get respect from others.
Ya ‘Aziz
(The Mighty) Recite this name 40 times after fajr (morning) prayers for 40 days to be independent from need from others.
Ya Baatin
(The Hidden) One who recites this name three times in a day will be
able to see the truth in things.

Ya Badi
(The Incomparable) One who recites this name 70 times will be free from all troubles.
Ya Baa’is
(The Resurrector) One who recites this name will gain the fear of Allah.
Ya Baqi
(The Everlasting) One who recites this name 100 times before sunrise will be
saved from all disasters.
Ya Barr
(The Source of all Goodness) One who recites this name for his child, the child will be free from misfortune.
Ya Basir
(The All Seeing) One who recites this name 100 times after Friday Prayers (Namaz) will get the esteem in the eyes of others
Ya Basit
(The Expander) One who recites this name 10 times after morning Prayers (Namaz) with open hands will get wealth.
Ya Fattah
(The Opener) One who recites this name will face the victory.
Ya Ghaffar
(The Forgiver) One who recites this name, his sins will be forgiven.
Ya Ghafur
(The All Forgiving) Recitation of this name helps in healing from headache, Fever & depression.
Ya Ghani
(The Self Sufficient) One who recites this name will be contented and not covetous.
Ya Hadi
(The Guide) One who recites this name frequently will gain spiritual knowledge.
Ya Hafiz
(The preserver) One who recites this name 16 times each day will be
protected against calamities.
Ya Hakam
(The Judge) One who recites this name frequently at night,
many secrets will be revealed to him / her.
Ya Hakim
(The Wise) One who recites this name continuously will
prevent him / her from the difficulties in work.
Ya Halim
(The Forbearing One) Write this name on the piece of paper and put it where the seeds are sown, this will prevent from any disaster & calamity.
Ya Hamid
(The Praiseworthy) One who recites this name will be loved and praised
Ya Haqq
(The Truth) One who recites this name will get his lost thing.
Ya Hasib
(The Reckoner) One who starts reciting this name 70 times beginning Thursday for seven days and nights and at the 71st time recites “Habiyallah ul Hasib” will be free of fears from robbery & Jealousy.
Ya Hayy
(The Alive) One who recites this name will have long life.
Ya Jaame
(The Gatherer) One who recites this name will find lost things.
Ya Jabbar
(The Compeller) Recitation of this name helps to prevent from violence, severity or hardness.
Ya Jalil
(The Sublime One) One who writes this name on a piece of paper with musk and saffron, washes it, and drinks the water from a ceramic container made of earth, will be revered among men.
Ya Kabir
(The Most Great) One who recites this name 100 times will get esteem.
Ya Karim
(The Generous One): One who recites this name will have esteem in this world.
Ya Khabir
(The Aware) One who recites this name will be quickly freed from the bad habit.
Ya Khafid
(The Abaser) Recitation of this name, 70,000 times in gathering after fasting for 3 days will be safeguarded from enemy.
Ya Khaliq
(The Creator) Recitation of this name at night will create an angel.
Ya Bari
(The Evolver) Recitation of each 21 times will help women during child birth.
Ya Musawwir
(The Fashioner)
Ya Latif
(The Subtle One) One who recites this name 100 times after performing two rakats of Namaz will gets all his desires fulfilled.
Ya Majeed
(The Noble) One who recites this name, his heart will be enlightened.
Ya Majid
(The Most Glorious One) One who recites this name will gain glory.
Ya Malik
(The Sovereign Lord) One who recites this name frequently will be respected and treated accordingly by others.
Ya Malik-Al-Mulk
(The Eternal Owner of Sovereignty) One who recites this name will get esteem.
Ya Maani
(The Preventer) One who recites this name will have a good family life.
Ya Matin
(The Firm One) One who recites this name will be freed from any troubles.
Ya Mu’akhkhir
(The Delayer) Reciting this name 100 times helps to love only Allah.
Ya Mubdi
(The Originator) Recitation of this name on pregnant woman will prevent her from abortion.
Ya Mughni
(The Enricher) One who recites this name 10 times for 10 Fridays will become self sufficient.
Ya Muhaymin
(The Protector) One who recites this name with complete ablution, their inner being will be luminous.
Ya Muhsi
(The Reckoner) One who recites this name 1000 times will have easiness on the judgment day.
Ya Muhyi
(The giver of life) One who recites this name will be helped in heavy burden.
Ya Mur’id
(The Restorer) Recitation of this name 70 times will helpful in safe return of the missing person.
Ya Mu’izz
(The Honorer) Reciting 140 times after isha prayer will help in attaining dignity in the eyes of others.
Ya Mujib
(The Responsive) Recitation of this name will fulfill appeals.
Ya Mu’min
(The Guardian of Faith) One who recites this name will be free from any harm.
Ya Mumit
(The Creator of Death) One who recites this name will be prevented from enemy.
Ya Muntaqim
(The Avenger) One who recites this name frequently will be victorious against his enemies.
Ya Muqaddim
(The Expediter) Recitation of this name is helpful in the battlefield
Ya Muqit
(The maintainer) One who recites this name on a glass of water and gives this water to bad mannered child, it will help the child in attaining good manners.
Ya Muqsit
(The Equitable) One who recites this name will be free from the harm of the devil.
Ya Muqtadir
(The Powerful) Recitation of this name helps to know the truth.
Ya Muta’ali
(The Most Exalted) One who recites this name frequently will gain the benevolence of Allah.
Ya Mutakabbir
(The Majestic) Recitation of this name before having intercourse with wife will blessed with righteous child.
Ya Muzill
(The Dishonorer) One who recites this name 75 times will be prevented from jealousy.
Ya Naafi
(The Propitious) One who recites this name continuously for four days will be prevented from any harm.
Ya Nur
(The Light) One who recite this name will have inner light.
Ya Qabiz
(The Constrictor) One who writes this name on 50 pieces of food (fruit, bread, etc) for 40 days will receive ample sustenance.
Ya Qadir
(The Able) Recitation of this name helps in fulfilling one’s desires.
Ya Qahhar
(The subduer) One who recites this name will be made free from the attractions of the world and gain inner peace.
Ya Qawi
(The most Strong) One who recites this name with the intention of not being harmed, will be safe from his enemy.
Ya Qayyum
(The Self Subsisting) One who recites this name will not fall into inadvertency.
Ya Quddus
(The Holy) One who recites 100 times every day will be free from anxiety.
Ya Raafi
(The Exalter) Reciting this name 100 times during day and night will make the person higher and rich.
Ya Rahim
(The Merciful) One who recites this name seven times will be under Allah’s protection.
Ya Raqib
(The Watchful) One who recites this name seven times will be under Allah’s protection.
Ya Rashid
(The Guide to the Right Path) One who recites this name 1000 times between Maghrib and Isha Namaz will be safe from troubles.
Ya Ra’uf
(The Compassionate) Recitation of this name gives the blessing of Allah.
Ya Razzaq
(The Provider) One who recites this name will be provided with sustenance from Allah.
Ya Sabur
(The Patient) One who recites this name 3000 times will be rescued from any difficulty.
Ya Salaam
(The Source of Peace) One who recites this name 160 times to a sick person will regain health.
Ya Samd
(The Eternal) One who recites this name frequently will be helped in need.
Ya Samii
(The Al Hearing) One who recites this name 100 times without speaking to anyone on Thursday after the Zuhr prayer, Allah will bestow on him / her any desire.
Ya Shaahid
(The Witness) One who recites this name will get obedient child.
Ya Shakur
(The Appreciative) Recitation of 41 times will helps in healing from depression.
Ya Tawwab
(The Acceptor of Repentance) One who recites this name frequently, his repentance will be accepted.
Ya Waali
(The Governor) One who recites this name and breathes it into his house, his house will be free from danger.
Ya Wali
(The Protecting Friend) One who recites this name will be the protected one
Ya Wadud
(The loving) Reciting this name 1000 times on food before eating will help in making compromise between two persons.
Ya Wahhab
(The Bestower) One who recites this name 100 times after two rakats of Namaz will get all needs fulfilled.
Ya Wahid
(The Unique) One who recites this name alone and in a quiet place will be free from fear and delusion.
Ya Wajid
(The Finder) One who recites this name will have richness of heart.
Ya Wakil
(The Trustee) One who recites this name will have long life.
Ya Warris
(The Supreme Inheritor) One who recites this name will have long life.
Ya Wasi
(The All Embracing) Recitation of this name will eradicate poverty.
Ya Zaahir
(The Manifest) One who recites this name 15 times after Friday prayer, will get divine light in his heart.
Ya Zaarr
(The Distresser) One who recites this name will gain status.
Ya Zul Jalal Wal Ikram(The Lord of Majesty and Bounty)



these are just a few else every single name of Allah is full of blessings

Thursday, January 3, 2008

Allama Iqbal's Poem

Shikwa and Jawab-e-Shikwa

Poetry Of Allama Iqbal"SHIKWA"

Kyon Ziyakar Bano Sood Faramosh Rahoon
Fikry Fardaan Na Karoon Mehwe-gamdosh Rahoon
Naly Bulbul Ke Sunoo Aur Hum-atangosh Rahoon
Humnawa Bhi Koi Gul Hoon Ke Khamosh Rahoon...


Zurrat-e-aamooz Meri Tab-e-sukhan Hai Mujhko
Shikwa Allah Se Khakm-e-badahan Hai Mujhko
Hai Baja Shikwa-e-tasleem Main Mashoor Hain Hum
Kissa-e-dard Sunaty Hain Ki Majboor Hain Hum


Thee To Mojood Azzl Se Hi Teri Zaat-e-kadeem
Phool Tha Zeb-e-chaman Aur Na Pareshaan Thi Shameem
Shart-e-insaaf Hai Ay Sahib-e-altaaf-e-ameem
Boo-e-gul Failti Kaise Jo Hoti Na Naseem


Humko Jamiat-e-khatir Ye Pareshaani Thi
Warna Ummat Tere Mehboob Ki Diwaani Thi
Humse Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar
Kahin Masjood They Pathhar Kahin Mabood Shazar
Khoongary-paykr Mehsoos Thi Insaan Ki Nazar
Maanta Phir Koi Undekhe Khuda Ko Kyonkar


Tujhko Maloom Hai Leta Tha Koi Naam Tera
Kuwwat-e-bazoo-e-muslim Ne Kiya Kaam Tera


Bus Rahe Thy Yahaan Saljook Bhi Turrani Bhi
Aehelchey Cheen Main Iraan Main Soosani Bhi
Is Mamoory Main Abaad Thy Unaani Bhi
Is Duniya Main Yahoodi Bhi Thy Nasrani Bhi


Par Tere Naam Pe Talwaar Uthai Kisne
Baat Jo Bigdi Hui Thi Woh Banai Kisne
Thy Hum Hi Ek Tere Marka-e-yaroo Main
Kabhi Kushki Main Ladtay Kabhi Dariyaao Main
Kabhi Di Hain Ajaany Europe Ke Kalisaoo Main
Kabhi Africa Ke Tapty Huy Sehraoo Main


Shaan Aankhon Me Na Janchti Thi Jahandaaro Ki
Kalma Padhte Thy Hum Chaanv Main Talwaro Ki
Tal Na Sakte Thy Agar Jung Main Aud Jate Thy
Paanv Shairo Ki Maidaan Se Ukhad Jate Thy
Sarkash Hota Koi Tujh Se To Bigad Jate Thy
Teykh Kya Cheez Hai Hum Toup Se Ladd Jate Thy


Humjo Jo Jeete Thy Jango Ki Musibat Ke Liye
Aur Marte Thy Tere Naam Ki Azmat Ke Liye
Thi Na Kuch Teykh-zani Apni Hukumat Ke Liye
Sarbafak Phirty Thy Kya Daher Main Doulat Ke Liye
Qaum Jo Apne Zaro-malo Jahaan Pe Marti
Butfaroshi Ke Aywaz Butfaroshi Kyon Karti


Naksh Touheed Ka Har Dil Main Bithaya Humne
Zair-e-khanjar Bhi Yeh Paigam Sunaya Humne


Tu Hi Kehde Ukhaada Darry-khaibar Ko Kisne
Shaiher Kaisar Ka Jo Tha Woh Kiya Sar Kisne
Tody Makhlook-e-khudabandi Ke Paikar Kisne
Kaat Ke Rakh Diye Kuffar Ke Lashkar Kisne
Kisny Thanda Kiya Aatish-e-kada Eiraan Ko
Kisne Phir Zinda Kiya Tazkara-e-yazdaan Ko


Kaun Si Qaum Faqat Teri Talabgaar Hui
Agair Tere Liye Zehmat Kash-o-paikaar Hui
Kiski Shamsheer Jahangir Jahandaar Hui
Kiski Takbeer Se Duniya Teri Bedaar Hui
Kiski Haibat Se Sanam Se Sehmy Huy Rehte Thy
Munh Ke Bal Girky Kulu-allah-hu-aahad Kehty Thy


Mehfil-e-kuno-makaan Me Sehar-o-shaam Firy
May Touheed Ki Lekar Sifat-o-jaam Firy
Koh Me Dasht Me Leykar Tera Paigaam Firy
Aur Maloom Hai Tujhko Kabhi Nakaam Firy
Dahst To Dasht Hai Dariya Bhi Na Chody Humne
Behar-e-zulmaat Mey Bhi Daudaa Diye Ghodey Humne


Aagaya Aein Ladayi Main Agar Waqt-e-namaaz
Kibla Rukh Hoky Zameen Baus Hui Kaum-o-hijaaj
Ek Hi Saff Main Khady Ho Gaye Mehmood-o-ayaaz
Na Koi Banda Raha Aur Na Banda Nawaaz


Banda Wo Sahab-o-mohtaaj-o-gani Ek Huy
Teri Sarkaar Main Pahunchy To Sabhi Ek Huy
Saffa-e-dehar Se Aehly-batil Ko Mitaya Humne
Nohy Insaano Ko Gulami Se Chudaya Humne
Tere Kaby Ko Zabeenon Se Basaya Humne
Tere Kuraan Ko Seeno Se Lagaya Humne
Phir Bhi Shikwa Humisi Ke Wafadaar Nahi
Hum Wafadaar Nahi To Tu Bhi To Dildaar Nahi..


Ummatain Aur Bhi Hain Unmy Gunaahgaar Bhi Hain
Inj Waly Bhi Hain Mast-e-may Pindaar Bhi Hain
Un Main Kahil Bhi Hain, Gaafil Bhi, Hoshiyaar Bhi Hain
Sainkdow Hain Jo Tere Naam Se Bezaar Bhi Hain,
Rehmatain Hain Teri Agyaar Ke Kashaano Par
Barq Girti Hai To Bechary Musalmaano Par


But Sanam Khaano Main Kehte Hain Musalmaan Gay
Hai Khsuhi Unko Ke Kaby Ke Nigehbaan Gay
Manzil-e-dehar Se Oontow Ke Hudi-khwaan Gay
Apni Baglo Main Dabaye Huy Kuraan Gay
Khanda Jan Kufr Hai Aehsaas Tujhe Hai Ke Nahi
Apni Touheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai Ki Nahi


Ye Shikaayat Nahi Hain Unke Khazany Maamoor
Nahi Mehfil Main Jinhy Baat Bhi Karne Ka Shaaoor
Kehar To Ye Hai Ki Kaafir Ko Mily Hoor-e-kasoor
Aur Bechary Musalmaano Ko Faqat Waada-e-hoor


Ab Wo Altaaf Nahi Tum Pe Inaayat Hi Nahi
Baat Ye Kya Hai Ki Pehli Si Madaarat Hi Nahi


Kyon Musalmano Main Hai Daulat-e-duniya Nayaab
Teri Kudrat To Hai Woh Jiski Na Hadd Hai Na Hisaab
Tu Jo Chahe To Uthy Seena-o-sehra Se Habaab
Rehro-dasht Ho Seeli-zadaan Mouj-o-sarab
Tany-agyaar Hai Ruswayi Hai Nadaari Hai
Kya Tere Naam Pe Marne Ka Aiwaz Khwaari Hai


Bani Agyaar Ki Ab Chahne Wali Duniya
Reh Gayi Apne Liye Ek Khayali Duniya
Hum To Rukhsat Huy Auro Ne Sanbhali Duniya
Phir Na Kehna Hui Touheed Se Khali Duniya
Hum To Jeety Hain Ki Duniya Mey Tera Naam Rahe
Kahin Mumkin Hai Ki Saaaki Na Rahe Jaam Rahe


Teri Mehfil Bhi Gayi Chahne Waly Bhi Gay
Shab Ki Aanhain Bhi Gayi Subaah Ke Laly Bhi Gay
Dil Tujhe De Bhi Gay Apni Sila Le Bhi Gay
Aake Baithe Bhi Na Thy Aur Inkka Le Bhi Gay
Aaye Aashiq Gay Wada-o-farda Leykar
Ab Unhe Dhoond Charaag-e-zebaan Leykar


Dard Laila Bhi Wohi Qais Ka Pehlo Bhi Wohi
Bukhd Ke Dasht-o-jabl Main Ram Aaho Bhi Wohi
Ishq Ka Dil Bhi Wohi Husn Ka Jadoo Bhi Wohi
Ummatain-ahmed-muesal Bhi Wohi Tu Bhi Wohi
Phir Ye Aazirad Gayi Ghair Sabab Kya Maani
Apne Shaidaiyoon Pe Ye Chashm Ghazab Kya Maani


Tujh Ko Choraa Ke Rasool-e-arbi Ko Choraa
But Gari Paisha Kiya But Shikni Ko Choraa
Ishq Ko Ishq Ki Aashiftasari Ko Choraa
Rasm-e-salman-o-qais Qarni Ko Choraa
Aag Takbeer Ki Seeno Main Dabi Rakhty Hain
Zindagi Masl-e-bilaal Habshi Rakhty Hain


Ishq Ki Khair Wo Pehli Si Adaa Bhi Na Sahi
Jad-o-paymayii Tasleem-o-raza Bhi Na Sahi
Maghtarab Dil Sift-e-qibla-numai Bhi Na Sahi
Aur Pabandi Aayina-e-wafa Bhi Na Sahi
Kabhi Humse Kabhi Gairon Se Shanasaayi Hai
Baat Kehne Ki Nahi To Bhi Tu Harjayi Hai


Sir-e-faran Pey Kiya Deen Ko Kamil Tuny
Ek Ishary Mey Hazaro Ke Liye Dil Tuny
Aatish-andooz Kiya Ishq Ka Haasil Tuny
Phoonk Di Garm-e-rukhsaar Se Mehfil Tuny
Aaj Kyon Seeny Humary Sharr-aabaad Nahi
Hum Woji Sokhta Samaan Hain Tujhe Yaad Nahi


Wadi-w-e-bukhd Mey Wo Shor-e-silasal Na Raha
Qais Dewaana Nazara-e-mehmil Na Raha
Hosly Wo Na Rahe Hum Na Rahy Dil Raha
Ghar Ye Ujdaa Ke Ki To Rounak-e-mehfil Na Raha


Ay Khushaan Rooz Ke Aayi O Busarnaaz Aayi
Bey Hijaaba Na Soy Mehfil Me Baaz Aayi


Baad-e-kash Gair Hain Gulshan Me Lab Jo Baithy
Sunty Hain Jaam Bakaf Naghma Ko Koo Baithy
Saur-e-hungamae-e-gulzar Se Yaksu Baithy
Tere Dewany Bhi Hain Muntazir Huy Baithy
Apne Parwano Ko Phir Zauq-e-khud Afroozi De
Barq-e-daireena Ko Farmaan-e-jigar Soozi De


Qaum-e-aawaara Aan-e-taab Hai Phir Soy Hijaaz
Lay Uda Bulbul-e-baypar Ko Mazzaq-e-parwaaz
Muztarib Baag Ke Her Gunchy Me Hai Boo-e-niyaaz
Tu Zara Cheer To De Tishna-e-mazraab Se Saaz
Naghme Baitaab Hai Taaro Se Nikalne Ke Liye
Toor Muztir Hai Isi Aag Me Jalne Ke Liye


Msuhkilain Ummatain Mehroom Ki Aasan Karde
Mooribe-maya Ko Humdosh-e-sulaimaan Karde
Jins-e-nayaab Muhabbat Ko Phir Arzaan Karde
Hind Ke Dair-e-naseenon Ko Musalmaan Karde
Jo Aaye Khoonmee Charaaz Hasrat Daireena-e-ma
Mee Tapeedna Lab-e-nashtar Karde Seena-e-ma


Boo-e-gul Le Gayi Bairoon-e-chaman Raaz-e-chaman
Kya Qayamat Hai Ki Khud Phool Hain Gummaz-e-chaman
Ehd-e-gul Khatm Hua Toot Gaya Saaz-e-chaman
Udd Gay Daaliyon Se Zamana-e-pardaaz-e-chaman
Ek Bulbul Hai Ki Ye Mehwe-tarannum Ab Tak
Iske Seeny Me Hai Nagmo Ka Talatum Ab Tak


Qumrayaan Shaakh-sanoobar Se Gurezaan Bhi Hui
Pattiyaan Phool Ki Jhud-jhud Ke Pareshaan Bhi Hui
Woh Puraani Rawishain Baag Ki Weeran Bhi Hui
Daaliyaan Pairahan-e-burg Se Udyaan Bhi Hui
Qaid-e-mausam Se Tabiyat Rahi Azaad Iski
Kaash Gulshan Me Samajhta Koi Fariyaad Iski


Lutf Marne Me Hai Baaqi Na Maza Jeeny Me
Kuch Maza Hai To Yahi Khoon-e-jigar Peene Me
Kitne Betaab Hain Johar Mere Aaiyne Me
Kis Kadar Jalwe Tadapty Hain Mere Seeny Me
Eis Gulistaan Me Magar Daikhne Wale Hi Nahi
Daag Jo Seeny Me Rakhte Hon Wo Laly Hi Nahi


Chaal Is Bulbul-e-tanha Ki Nawasy Dil Hoon
Jaagny Wale Isi Bung-e-dara Se Dil Hoon
Yaani Phir Zinda Naye Ehd-e-wafa Se Dil Hoon
Phir Isi Baada-e-daireena Ki Pyaase Dil Hoon


Azmi Khum Hai To Kya Mey To Hijazi Hai Meri
Nagma Hindi Hai To Kya Ley To Hijazi Hai Meri...


Finish


Poetry Of Allama Iqbal"JAWAAB-E-SHIKWA"


Dilse Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai
Par Nahi Takat-e-parwaaz Magar Rakhti Hai
Qudsil-asal Hai Rafat Pe Nazar Rakhti Hai
Khak Se Uthti Hai Gardon Pe Guzar Rakhti Hai


Ishq Tha Fitnagr-wo-sarkash Wo Chalaak Mera
Aasmaan Cheer Gaya Naala-o-beybaak Mera


Peer Gardon Ne Kaha Sunke Kahin Hai Koi
Bole Sayyare Sar-e-arsh-e-bari Hai Koi
Chaand Kehta Tha Nahin Aehle-e-zameen
Kehkashaan Kehti Thi Poshida Yaheen Hai Koi
Kuch Jo Samjha Mere Shikwe Ko Wo Rizwaan Samjha
Mujhe Jannat Se Nikala Hua Insaan Samjha


Thi Farishton Ko Bhi Hairat Ke Ye Awaaaz Hai Kya
Arsh Walo Pe Bhi Khulta Nahi Ye Raaz Hai Kya


Taa Sar-e-arsh Bhi Insaan Ki Tag-o-taaz Hai Kya
Aa Gayi Khaak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya


Ghafil-aadaab Se Ye Sukkam-e-zameen Kaise Hain
Shokh-o-gustaakh Ye Pasti Ke Makeen Kaise Hain


Is Kadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai
Tha Jo Masjud-e-malayik Yeh Wohi Aadam Hai
Aalim-kaif Hai Dana-e-ramuz-kam Hai
Haan Magar Ijaz Ke Asrar Se Namahram Hai


Naaz Hai Taqat-e-guftar Pe Insaano Ko
Baat Karne Ka Saliqa Nahi Nadaanon Ko


Aai Aawaaz Gum-angez Hai Afsana Tera
Ashk-e-baitaab Se Labrez Hai Paimana Tera
Asman Gair Hua Nara-e-mastana Tera
Kis Kadar Shokh Zabaan Hai Dil-e-diwana Tera


Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-ada Se Tune
Hum Sukhan Kar Diya Bando Ko Khuda Se Tune
Hum To Mayal Ba-karam Hai Koi Sayal Hi Nahin
Rah Dikhlayain Kise Rahrawe-manzil Hi Nahin


Tarbiat Aam To Hai Johar-e-qabil Hi Nahi
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin


Koi Kabil Ho To Hum Shaane Kayi Dete Hain
Dhoondne Walo Ko Duniya Bhi Nayi Dete Hain
Haath Be-zor Hai Eilhaad Se Dil Khoon-gar Hain
Ummati Baais-e-ruswai-e-paighambar Hain
But-shikan Uth Gay Baaqi Jo Rahe But-gar Hain
Tha Brahim Pidar Aur Pisar Aazar Hain


Baada-aasham Naye Bada Naya Kham Bhi Naye
Harm-e-kaba Naya But Bhi Naye Tum Bhi Naye
Wo Bhi Din Thy Ke Yahi Maya-e-ranaai Tha
Naazish-e-mausam-gul Lala-o-sehraai Tha
Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
Kabhi Mehboob Tumhara Yahi Harjai Tha


Kisi Yakjai Se Ab Ahad-e-gulami Karlun
Millet-e-ahmad-e-mursal Ko Maqami Karlun


Kis Kadar Tum Pe Garan Subho Ki Bedari Hai
Humse Kab Pyaar Hai Haan Neend Tumhe Pyaari Hai
Tab-e-azaad Pe Qaid-e-ramzan Bhari Hai
Tum Hi Kehdo Ye Aayine Wafadari Hai
Qaum Mazahab Se Mazhab Jo Nahi Tum Bhi Nahi
Jazb-e-baham Jo Nahi Mehfil Anjum Bhi Nahi
Jinko Aata Nahi Duniya Me Koi Fun Tum Ho
Nahi Jis Kaum Ko Parwaa-e-nasheman Tum Ho
Bijliya Jisme Ho Aasuda Wo Khirman Tum Ho
Bech Khate Hain Jo Aslaaf Ke Marfun Tum Ho


Hunko Naam Jo Kabro Ki Tijarat Karke
Kya Na Pujogy Jo Mil Jayen Sanam Pathhar Ke


Saffa-e-dehar Se Baatil Ko Mitaya Kisne
Noye-insan Ko Gulami Se Chhudaya Kisne
Mere Kaaby Ko Jabeenon Se Basaya Kisne
Mere Quraan Ko Seeno Se Lagaya Kisne


Tha To Aaba Wo Tumhare Hi Magar Tum Kya Ho
Haath Par Haath Dhare Muntazir-e-farda Ho


Kya Kaha"bahr-e-musalman Hai Faqat Waade-e-hoor"
Shikwa Beja Bhi Kare Koi To "laazim Hai Shaour"
Adal Hai Faatir-e-hasti Ka Azal Se Dastur
Muslim Aaeen Hua Kafir To Mile Hoor-e-qasoor


Tum Me Hooro Ko Koi Chahne Wala Hi Nahin
Jalwa-e-toor To Moujood Hai Moosa Hi Nahin
Munafat Ek Hai Is Qaum Ki Nuqsaan Bhi Ek
Ek Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Imaan Bhi Ek
Harm-e-paak Bhi Allah Bhi Quraan Bhi Ek
Kuch Badi Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Ek


Firqa Bandi Hai Kahin Aur Kahin Zaatain Hain
Kya Zamany Main Panapne Ki Yahi Baatain Hai


Kaunhe Tarik-e-aainy-rasul-e-mukhtaar
Maslehat Waqt Ki Hai Kiske Amal Ka Meyaar
Kiski Aankhon Me Samaya Hai Shaar-r-agyaar
Ho Gayi Kiski Nighaam Tarz-e-salaf Se Bezaar


Kalb Me Sauz Nahi Rooh Me Aehsaas Nahi
Kuch Bhi Paigaam Mohammd Ka Tumhe Paas Nahi


Jaa Ke Hote Hain Masjid Me Saf-aara Tau Garib
Zehmat-e-roza Jo Karte Hon Gawara Tau Garib
Naam Leta Hai Agar Koi Hamara To Garib
Pardah Rakhta Ho Agar Koi Tumhara To Garib


Umra Nasha-e-daulat Me Hain Ghafil Humse
Zinda Hai Millat-e-baiza Ghurba Ke Dam Se


Waeiz-e-kaum Ki Wo Pukhta Khayali Na Rahi
Barq-e-taabi Na Rahi Shola Makali Na Rahi
Reh Gayi Rasm-e-azaan Rooh Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gaya Talkeen-e-gazali Na Rahi


Masjide Marsiyan Khwqn Hai Ke Namazi Na Rahe
Yani Wo Sahabo-ausaaaf Hijazi Na Rahe
Shor Hai Ho Gaye Duniya Se Musalman Nabood
Hum Yeh Kehte Hain Ke Thy Bhi Kahin Muslim Moujood
Waza Me Tum Ho Nasara To Tamudaan Me Hanood
Yeh Musalmaan Hain Jinhe Dekh Ke Sharmain Yahud


Yun To Sayyad Bhi Ho Mirza Bhi Ho Afgaan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho Batao To Musalman Bhi Ho


Dam-e-taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebaak
Adal Uska Tha Qaumi-laus-e-maraat Se Paak
Shajar-e-fitrat Muslim Tha Haya Se Namnak
Tha Shujaat Me Wo Ek Hasti-fauk-al-adraak


Khud Gudazi Nam-e-kaifiat Sehba Yashbood
Khali Azakhweesh Shadan Surat-e-meena Yashbood


Har Musalman Rag-e-baatil Ke Liye Nashtar Tha
Iske Aayine-e-hasti Me Amal Jo Har Tha
Jo Bharosa Tha Isy Kuwwat-e-bazu Par Tha
Hai Tumhe Maut Ka Darr Isko Khuda Ka Dar Tha


Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho
Phir Pisar Qabil-e-miraas-e-pidar Kyonkar Ho


Har Koi Mast-e-mey-e-zauq-e-tan Aasaani Hai
Tum Musalmaan Ho Yeh Andaaz-e-musalmani Hai
Haidari Fiqr Hai Na Daulat-usmaani Hai
Tumko Aslaaf Se Kya Nisbat Ruhani Hai
Wo Zamane Me Mauzziz Thy Musalman Hokar
Aur Tum Khwaar Huy Tareek-e-kuraan Hokar


Tumho Aapas Me Gazabnaak Wo Aapas Me Raheem
Tum Khatakaro-khatabi Wo Khataposh Kareem
Chaahte Sab Hain Ke Hon Auj-surayya Pe Muqeem
Pehle Waisa Koi Paida To Kare Qalb-e-salim


Takht-e-fagfur Bhi Unka Tha Sareer Ke Bhi
Yuhin Batain Hai Ki Tumme Wo Hamiyat Hai Bhi


Khudkushi Shewa Tumhara Wo Gayuuro-khudaar
Tum Akhowwat Se Gurezan Wo Akhowwat Pe Nisar
Tum Ho Guftar Sarapa Wo Sarapa Kirdaar
Tum Taraste Ho Kali Ko Wo Gulistan Biknaar
Abtalak Yaad Hai Qaumo Ko Hikayat Unki
Naksha-e-saffa-e-hasti Pe Sadakat Unki


Misl-o-anjum Ufak Qaum Pe Roshan Bhi Huy
Buut-hindi Ki Muhabbat Me Brhaman Bhi Huy
Shauk-e-parwaaz Me Mehjure-nasheman Bhi Huy
Beamal Thy Hi Jo Is Deen Se Badzan Bhi Huy
Inko Tehzeeb Ne Har Band Se Aazad Kiya
Lake Kabe Se Sanamkhane Me Aabad Kiya


Qais Zehmat-kashe-tanhai-e-sehra Na Rahe
Sheher Ki Khaye Hawa Baad Ye Paimaan Na Rahe
Wo To Diwana Hai Basti Me Rahe Ya Na Rahe
Ye Zaruri Hai Hizabe-e-rukhe-laila Na Rahe


Gila-e-zaur Na Ho Shikwa-e-bedaad Na Ho
Ishq Azaad Hai Kyon Husn Bhi Azaad Na Ho


Ahd-e-nau Barq Hai Aatish Zan-e-har Khirman Hai
Aiman Is Se Koi Sahra Na Koi Gulshan Hai
Eis Nayi Aag Ka Aqwaam-e-kuhan Indhhan Hai
Millat-e-khatm Rasul Shola Ba Perahan Hai


Aaj Bhi Ho Jo Baraheem Ka Imaan Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaaz-e-gulistaan Paida


Dekh Kar Rang-e-chaman Hona Pareshaan Maali
Kokab Guncha Se Shakhy Hain Chamakne Wali
Khaso Khashaak Se Hota Hai Gulistaan Khali
Gulbar Andaaz Hai Khoon-e-shuhda Ki Laali


Rang Gardon Ka Zara Dekh To Unnabi Hai
Yeh Nikalte Huy Suraj Ki Ufaq Tabi Hai


Astiye Gulshano-hasti Me Samarcheeda Bhi Hain
Aur Mehroom Samar Bhi Hain Khizadeeda Bhi Hain
Saikdon Nakhl Hai Kahida Bhi Balida Bhi Hain
Saikdon Batn-e-chaman Me Abhi Poshida Bhi Hain


Nakhl-o-islam Namoona Hai Bro-mandi Ka
Phal Hai Yeh Sainkdon Sadiyon Ki Chamanbandi Ka

Paak Hai Gard-e-watan Se Saredamaa Tera
Tu Wo Yusuf Hai Ki Har Misr Hai Kunaan Tera
Qafila Ho Na Sakega Kabhi Weeran Tera
Gair Yak Baang-e-dara Kuch Nahi Samaan Tera


Nakhl-e-shame Asti-dar Sholda Dood Resha-e-tu
Aaqbat Soz Bood Saya-e-andesha-e-tu
Tu Na Mit Gayega Iran Ke Mit Jane Se
Nashha-e-may Ko Taalluk Nahi Paimany Se
Hai Ayaan Yurish-e-tataar Ke Afsane Se
Paasbaan Mil Gaye Kaby Ko Sanamkhany Se


Kashtiye-haq Ka Zamany Me Sahara Tu Hai
Asr-e-nauraat Hai Dhundlaa Sa Sitara Tu Hai


Hai Jo Hangama Bapa Yurishe-yalgari Ka
Gafilo Ke Liye Paigaam Hai Bedaari Ka
Tu Samajhta Hai Ye Samaan Hai Dilazaari Ka
Imtehan Hai Tere Isaar Ka Khuddari Ka


Kyon Haresaan Hai Saheele-farse Aadan Se
Nur-e-haq Bujhh Na Sakega Nafs-e-aadan Se


Chashm-e-aqwaam Se Mukhfi Hai Haqeeqat Teri
Hai Bahi Mehfil-e-hasti Ko Zarurat Teri
Zinda Rakhti Hai Zamany Ko Hararat Teri
Kokab-kismat Imkaan Hai Khilafat Teri


Waqt-e-fursat Hai Kahan Kaam Abhi Baaqi Hai
Noor-e-tauhed Ka Itmaam Abhi Baaqi Hai
Misl-e-boo Qaid Ke Gunche Me Pareshaan Hoja
Rakht-bardosh Hawaye Chamanistaan Hoja
Hai Tunak Maya Tu Zarry Se Bayabaan Hoja
Nagma-e-mauj Se Hangama-e-tufaan Hoja


Kuwwat-e-ashq Se Har Pust Ko Bala Karde
Deher Me Isme Mohammad Se Ujala Karde


Hona Ye Phhol To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
Chaman-e-deher Me Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho
Ye Na Saaki Ho To Phir Mey Bhi Na Ho Kham Bhi Na Ho
Bazm-e-tauheed Bhi Duniya Me Na Ho Tum Bhi Na Ho


Khema-aflaaq Ka Astada Isi Naam Se Hai
Nabz-e-hasti Tapish Aamada Isi Naam Se Hai


Dasht Me Daaman-kohsaar Me Maidan Me Hai
Beher Me Mauj Ki Aagosh Me Tufaan Me Hai
Cheen Ke Sheher Marakish Ke Bayabaan Me Hai
Aur Poshida Sulaimaan Ke Imaan Me Hai


Chashm-e-aqwaam Ye Nazara Abd Tak Dekhain
Rifaat-e-shane-rafaana Laka-zikrq Dekhain


Mardame Chashm Zameen Yaani Wo Kaali Duniya
Wo Tumhare Shuhda Paalny Wali Duniya
Garmiye-meher Ki Parwarda Hilaali Duniya
Ashq Wale Jise Kehte Hain Bilaali Duniya


Tapish-andoauz Hai Is Naam Se Paare Ki Tarha
Gotazan Noor Me Hain Aankh Ke Tare Ki Tarha


Akl Ye Teri Sipar Ishq Hai Shamsheer Teri
Mere Darwesh Khilafat Hai Jahangeer Teri
Maasawa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
Tu Musalman Ho To Takdeer Hai Tadbeer Teri


Ki Mohammad Se Wafa Tune To Hum Tere Hain
Ye Jahaan Cheez Ha Kya Loho-qalam Tere Hain....